Afleveringen
-
Summer season bahut sare health issues ko trigger kar sakta hai. Isme bacteria ki growth bahut jaldi hoti hai, Jis se digestive issues ka samna karna pasta hai. Wahin hot weather heat exhaustion aur heat stroke ka bhi karan ban jata hai. In sabhi samasyao se bachne ke liye tune in kijiye healthy zindagi podcast ka latest episode, Jahan Nutritionist and Dietician Simrat Kathuria de rahi hain summer season me healthy rahne ke diet tips. Episode ko host kar rahi hain Yogita Yadav.
-
Social taboos aur families ki purani conditioning ke karan LGBTQIA+ community ke logo ko lagatar identity, existence, self-respect, relationship aur pyar ke liye struggle karna padta hai. Jiski wajah se bahut sare log mental health issues ke shikar hone lagte hain. Healthy Zindagi podcast ke iss episode me queer community representative aur senior psychologist Richa Vashista bata rahi hain mental health issues se kaise overcome hona hai.
-
Zijn er afleveringen die ontbreken?
-
Thyroid hormone ka sahi star body function ke liye zaruri hai. Magar iska kam ya zyada hona apki sehat ko nuksan pahucha sakta hai. Khastaur se mahilao ko. International Thyroid Day par janiye kyu imbalance hone lagta hai thyroid, iska kya hota hai sehat par asar aur ye apke period and fertility ko kaise affect karta hai. Healthy Zindagi podcast ke iss episode me hamare sath hain fertility expert Dr Rashmika Gandhi. episode ko host kar rahi hain Yogita Yadav.
-
Pregnancy ke 9 months ek woman ke liye amazing journey hote hain. Kabhi physical aur mental health issues ka samana karna, toh kabhi nanhe mehman ke aane ki khushi. Pregnancy ke 1st week se lekar delivery tak ek maa ko kin issues ka samna karna padhta hai aur kya ho sakta hai unka samadhan, Bata rahi hain senior gynecologist Dr. Nupur Gupta and Dietician Dr. Archana Batra, Healthy Zindagi podcast ke iss Mother's Day special podcast me. Ise host kar rahi hain Yogita Yadav.
-
carcinogens wo harmful chemical hain jo har jagah paye jate hain. Food, Utensils, pain aur bhi bahut sari cheezo me. Jo cancer ka karan ban sakte hain. Inse kaise bacha jaye aur inke khilaf apni body ko kaise protect kiya jaye , ye jan ne ke liye tune in karen healthy zindagi podcast ka ye episode. Rajiv Gandhi Cancer Institute and Research Centre me oncology department ke director Dr Vineet Talwar bata rahe hain carcinogens ke bare me sab kuch.
-
Yog jeewan ka adhar hai. Ye apki body aur mind ko tune karta hai. Jiss se apki productivity, focus aur glow me bhi improvement hoti hai. Magar kya wajah hai ki kuchh log Yogabhyas ke bawajood sust aur beemar nazar aate hain. Unhe anxiety aur mood swings hote hai. Kya unke abhyas me koi mistake rah jati hai? kya hai yogabhyas ka sahi tarika aur iss dauran kin galatiyon se bachna chahiye, Healthy Zindagi podcast ke iss episode me jante hain Yoga and spiritual guru Acharya Pratishtha se. Iss podcast ko host kar rahi hain Yogita Yadav.
-
20 se 30 year ki age ko baby plan karne ke liye sabse healthy mana jata hai. Magar isi umra me females' career bana rahi hoti hain. Agar aap bhi der se baby plan karna chahti hai toh egg freezing apke liye helpful ho sakti hai. Healthy Zindagi podcast ke iss episode me senior fertility expert Dr Rita Bakshi bata rahi hai fertility aur egg freezing ke bare me sab kuchh. Is episode ki host hain Yogita Yadav.
-
April is the autism awareness month. Autism ya Autism spectrum disorder ek esi condition hai jisme bachcha apne aap me hi gum rahta hai. Ese bachcho ko communication aur social sharing me difficulties hoti hain. Autism ke cause, symptoms aur supportive therapy kya ho sakti hain, janne ke liye tune in karen healthy Zindagi podcast ka ye episode with Senior psychologist aur behaviour therapy expert Dr Sonam kothari se bat kar rahi hain host Yogita Yadav.
-
Vaginal wash, vaginal perfume and vaginal lightening and tightening cream tak Sara bazaar women health ki fikra me hai. Par kya wastav me ye women health ka kuchh bhala kar rahe hain? Ya reality Kuchh aur hi hai? Healthy Zindagi podcast me, Senior gynaecologist & the founder of Maitri Women Dr Anjali Kumar de rahi hain women health se jude kuch zaruri sawalo ke jawab. Unse bat kar rahi hain host Yogita Yadav.
-
Homeopathy ek age-old alternative medicinal treatment process hai. Jisme healthy ko natural ingredients ke sath heal karne ki koshish ki jati hai. Duniya bhar me log iss holistic treatment par trust kar rahe hain. Iske bawajood Homeopathy ke bare me kayi myths prachalit hain. Healthy Zindagi podcast ke iss episode me In myths ko bust kar rahe hain Homeopathic expert Dr Mukesh Batra. Iss programme ko host kar rahi hain Yogita Yadav.
-
Hum sabhi har roz kisi na kisi tarah ke stress aur unpleasant situation ka smana karte hain. Kabhi kabhi bahut gussa bhi aata hai. Par jab yahi stress aur gussa anxiety aur isolation ka karan banne lagta hai, tab hame sawdhan ho jana chahiye. Stress, anxiety aur depression jaise mental health problems duniya bhar me social aur economic growth me barrier ban rahi hain. Inse kaise overcome hona hai, healthy Zindagi podcast ke iss episode me bata rahi hai senior psychologist Dr Neerja Agarwal. Iss program ko host kar rahi hain Yogita Yadav
-
Autoimmune disease esa agyat khatra hai, jin se bach pana bahut mushkil hai. Ye apki muscles, bones, lungs, heart, brain aur skin ko bhi prabhavit kar sakti hain. Inke causes aur symptoms ke bare me jankar inse better way me deal kiya ja sakta hai. Kya hain autoimmune diseases ke risk aur kya ho sakta hai inse deal karne ka upaye, Healthy Zindagi podcast ke iss episode me bata rahi hain senior Rheumatologist Dr Kiran Seth. Unke sath hain host Yogita Yadav.
-
skin ka shade ya tone uski khoobsurti nahi hai, balki skin ka healthy hona real beauty hai. Bleaching, whitening elements se lekar fetal autoimmune disease tak Dermatologist Dr Mahima Agarwal bata rahi hain skin health ke bare me kuchh zaruri baten. Tune in kijiye healthy Zindagi podcast, jise host kar rahi hain Yogita Yadav.
-
Bahut zyada screen time, pollution aur bad lifestyle ke karan zyadatar logo ki eyes weak ho rahi hain. Dry eye, eye strain, glaucoma and diabetic retinopathy sahit eyes related problems bad rahi hain. Inse kaise bacha jaye, aur eyesight ko kaise better rakha jaye, jante hain healthy zindagi podcast ke iss episode me eye specialist Dr Saurabh Arora se. Podcast ko host kar rahi hain Yogita Yadav.
-
Hum sabhi ne kabhi na kabhi toothache ka samna kiya hoga aur iske liye friends aur family ne kayi remedies bhi batayi hongi. Par sawal ye hai ki daily brush karne ke bad bhi teeth kharab kyu hone lagte hain ya unme pain aur bleeding jesi problems kyu hone lagti hain. Dental health se jude ese hi sawalo ke jawab janne ke liye sunen Healthy Zindagi podcast ka ye episode . Jise host kar rahi hain Yogita Yadav aur expert hain Delhi based dentist Dr Nabhika Mittal.
-
China and USA ke bad cancer ke sabse zyada cases ab India me dekhne me aa rahe hain. In me breast cancer, cervical cancer, colon cancer, lung cancer etc sabhi shamil hain. Akhir kyu badh rahe hain cancer cases aur inhe kaise control kiya ja sakta hai, Healthy Zindagi podcast ke iss episode me Rajiv Gandhi cancer institute me Senior Consultant & Head of Gynae Oncology Dr Vandana Jain se Jante hain. Podcast ko host kar rahi hain Yogita Yadav.
-
naked eyes se Nazar na ane wale kuch tiny insects bhi serious diseases ka karan ban sakte hain. Unfortunately, Inke symptoms bahut salo bad nazar aate hain aur tab tak inka ilaz impossible ho chuka hota hai. Esi hi kuch bimariyo ko WHO ne neglected tropical diseases me rakha hai. janiya kya hain ye aur inse kaise bacha ja sakta hai, public health expert Dr. Bhupendra tripathi se.Main hoon aapki host Yogita Yadav, aur aap sun rahe hain hamara aaj ka special podcast. Chaliye, is vishay par aur gahrai se charcha karte hain.
-
Cervical Cancer HPV se hone wala ek ghatak kism ka cancer hai. Iss se bachne ke liye zaruri hai ki aap sexually active hone se pahle sexually educate ho. Cervical cancer ke causes, symptoms aur preventive measures par bat kar rahi hain senior gynecologist Dr Aruna Kalra. Janne ke liye suniy healthy zindagi ka ye episode Yogita Yadav ke sath.
-
Sir se lekar pair tak apke shareer me kayi jagah par, kayi tarah ke pain hote hain. Par har pain ka ilaj sirf pain killer nahi hain. zara si laparwahi ise chronic pain bana sakti hai. Health shots podcast Healthy Zindagi ke iss episode me Pune based chronic pain expert Dr Nivedita Page bata rahin hain pain ke causes aur different treatments.
-
Diabetes ek lifestyle disorder hai. Ye jitni tezi se duniya bhar me badh rahi hai, uss se health ke liye chintaye badhna swabhavik hai. Unhealthy diet aur lifestyle type 2 diabetes ke sabse bade Karan hain. Sugar se bachne ke liye zaruri hai ki aap apni diet par dhyan de, sath hi agar kisi ko diabetes hai, toh uska upchar bhi food par dhyan dekar kiya ja sakta hai. Dietician aur Diabetes educator Dr Archana Batra Healthy Zindagi ke iss episode me bata rahi hain foods ke madhyam se diabetes ko manage karne ka tarika. Tune in kijiye Yogita Yadav ke sath.
- Laat meer zien